Sunday, May 16, 2010

Tamanna

                                                Tamanna

Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna
Tum ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai

Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai

Maine Jab Bhi Tujh se Baat Karna Chaha
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai

Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikla
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai

Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Tamanna Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Tha Ye Aur Baat Hai…

Aankho Main Meri bhi Chahat thi Teri
Tune Meri Aankhe na Padhi ye Aur Baat Hai

Dunya ke Liye Maine Deen ko Bhula Diya Apne
Phir bhi Mujhe Dunya na Mili ye Aur Baat Hai


Tabeer- Meaning of Dream
Sahil - Bank of River

 ********************************************

Kaun aayega yahan?
Na koi aaya hoga..
Mera darwaja hawaon ne hilaya hoga

Dil-e-nadan na dhadak
Koi khat leke padosi ke ghar aaya hoga

Gul se lipti hui titali ko gira kar dekho
Aandhiyon tumne darakhto ko to giraya hoga

Aye sanam,pardes mei mat yaad karo apna makan
Abke barisho ne use tod giraya hoga…………..

Mujhe barbad kerne me 
Dushmano ka hi nahi sara kasoor
Mere dosto ne bhi isme jor lagaya hoga.

























No comments:

Followers

Link