Wednesday, November 3, 2010

Nasihat

Kisi ne HUZOOR Akram (SAW) se nasihat daryaaft ki..to aap (SAW) ne farmaya..!


*

Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho to karlo,aur agar anjaam bura ho to usse ruk jao...! (Ahaadees dosron tak pahuchaana sadqa hai).

*

"kisi sey naraazgi ka waqt itna taweel(Jyada) na rakho ke wo tumhaare bagair hi jeena seekh jaye". (HAZRAT ALI(R.A)

*

Jo shaks ALLAH se darta hai woh kabhi badla nahi leta.

*

Hasad(Hirs) karne wala maut se pehle mar jaata hai.

*

Kisi par aetamaad na karo, jab tak usey ghussey mein na dekh lo.

*

Rishton ki asal khubsurti ek doosray ke baat ko bardasht karna hai. be aib insaan talash mat karo warna akele reh jao gay (Hazrat ali R.A.).

*

ALLAH dey kar bhi aazmata hay aur ley kar bhi,Ghareeb aadmi roti ke liye daudta hai aur Ameer roti hazam karne ke liye.

*

Gunah mein lazzat hoti hai sukoon nahi.

*

Baat alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai, kisi ke barey mein bura mat soncho ho sakta hai wo ALLAH ki nazar me tumse behtar ho.

*

Koi Gunah Lazat ke liye mat karna kyuke Lazat khatam ho jaegi aur Gunah baqi rahega
*

Our KOI NEKI takleef ki waja sa mat Chodo kyuke takleef khatam ho jaeegi aur neki baqi rahegi.

*

Ghoont ALLAH ko bhi pasand hai. Ek gussey ka aur Dusra sabr ka.

*

Apne khayalon ki hifazat karo kyon ke yeh tumhare alfaaz ban jate hai.

*

Apne Alfaaz ki hifazat karo kyon ke ye tumhare Amal ban jate hai.

*

Apne Amal ki hifazat karo kyon ke yeh tumhare kirdar ban jate hai.

*

Aur Apne kirdar ki hifazat karo kyon ke tumhara kirdar tumhari pehchan ban jati hai

Hazrat ALI (R.A)

*

Namaz ki haalat mein aankhen band karna makrooh hai.

*

Namaz mein jab qayam par ho to nazrein sajde ki jagah rakho jab rukoo karo to paon ke darmiyan dekho jab sajda karo to naak ki samt mein aur jab baeth jao to nazaren jholi mein honi chahiye, Aur jab salam phero to dono kandhon ko dekho

*

Paedaish Ke Waqt Azan Di Jati Hai. Magar namaz Nahi Padhi Jati. Aur Maut ke Waqt Namaz Padhi Jati Hai,Magar AZAN nahi Di Jati.

*

ZINDAGI AZAN SE NAMAZ TAK KA WAQT HAI

*

Qadam ALLAH ko bhi pasand hai jo farz namaz ke liya utha or dusra Kisi ki tazeyat ke lia utha.

*

AZAAN ko gaur se sunne ka fayda ye hai ke MAUT ke waqt zubaan par KALIMA aasaani se JAARI HOTA HAI..!

*

JAB TUM KOI BAAT BHOOL JAO TO HUZOOR AKRAM SAW PAR DUROOD PADHO YAAD AAJAAEGI.!
*

Qatra ALLAH ko bhi pasand hai Tanhai meina khauf-e-KHUDA mein nikala hua ansoo ka.

No comments:

Followers

Link